is khurduri ghazal ko na yun munh bana ke dekh kis haal mein likhi hai mere pas aa ke dekh wo din hawa hue ki bichhate the jaan o dil ab ek bar aur hamein muskura ke dekh parda pada hua hai tabassum ke raaz par phulon se os aankh se aansu gira ke dekh ye dopahar bhi aai hai parchhaiyon ke sath waise nazar na aaen to mashal jala ke dekh gulchin ne jab tamam shagufon ko chun liya kante pukar uthe ki hamein aazma ke dekh tu mera ham-safar hai to phir mere sath chal hai rahzan to naqsh-e-qadam rahnuma ke dekh apni nazar se dekh barahna hayat ko aaankhon se ye kitab ki ainak hata ke dekh az-rah-e-ehtiyat safar ko na khatm kar ye phul hain ki aag qadam to jama ke dekh thappa laga hua hai 'muzaffar' ke nam ka us ka koi bhi sher kahin se utha ke dekh