is khwab ki nadi ki rawani mein kahin ho pani mujhe kahta hai ki pani mein kahin ho tum ped ka kirdar nibhane chale aae tum dhup ki surat bhi kahani mein kahin ho ye mausam-e-sarsabz ye khilti hui yaaden dil kahta hai tum raat ki rani mein kahin ho yaron mein mohabbat nahin maujud zara bhi ye baat kisi dushman-e-jaani mein kahin ho thahre hue pal mein jo sukun dhund rahi hun mumkin hai kisi naql-e-makani mein kahin ho ye kaun dhanak laya mere dil ke ufuq par lagta hai ki tum rang-rasani mein kahin ho