kuchh safar ka ghubar jaisa tha

kuchh safar ka ghubar jaisa tha
sanson par ek udhaar jaisa tha

yak-ba-yak us ka aise chup hona
chikh thi ya pukar jaisa tha

jo kaha tum ne aur suna main ne
umr bhar ek khumar jaisa tha

nam jo hont par nahin aaya
dhadkanon mein shumar jaisa tha

nam tera likha tha ungli se
par shila par ubhaar jaisa tha

nim se chand chhan ke bikhra tha
chandni ko bukhar jaisa tha

chot kha ke bhi gungunata raha
mera dil bhi sitar jaisa tha

teri chahat ka jab bharam tuta
kuchh nashe ke utar jaisa tha

yaadon ke sab kagar dhahte gae
waqt bhi tez dhaar jaisa tha

dil pe ek bojh le ke jiti rahi
jo gunahon ke bhaar jaisa tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close