is liye maine na koi minnat-o-fariyaad ki

is liye main ne na koi minnat-o-fariyaad ki
dekhi jati hi na thi bechaargi sayyaad ki

dard ke moti pirota hun ghazal ki dor mein
parwarish karta hun apni ma’nawi aulad ki

rang-o-roghan meri diwaron pe karte hain sabhi
fikr karta hi nahin koi meri buniyaad ki

muddaton be-rozgari ne rulaya is qadar
aansuon mein bah gai file meri asnad ki

baat to khair-ul-wara ki kar rahe hain hum magar
kar rahe hain pairwi qaum-e-samud-o-‘ad ki

sach kahun to rah mein kante bichhao dosto
mustafai hun mujhe hajat nahin hai dad ki

mere har-su hai meri man ki du'aon ka hisar
rok li hai rah 'sagar' jis ne har uftad ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close