mere ghar hon ki kahin dur darichon mein charagh

mere ghar hon ki kahin dur darichon mein charagh
shab-e-hijran ka hai dastur darichon mein charagh

muntazir aankh to thak-haar ke so jati hai
jagte rahte hain majbur darichon mein charagh

ab to aata hi nahin meri gali mein koi
kis ki khidmat pe hain mamur darichon mein charagh

main hun aawara-e-shab aur ye zad-e-shab hain
dida-e-tar dil-e-ranjur darichon mein charagh

mera aur us ka ta'alluq hai faqat itna sa
jaise rakkhe hon kahin dur darichon mein charagh

us ke laut aane se binai bhi laut aai hai
jagmaga utthe hain be-nur darichon mein charagh

ab to aazad hun diwar-o-dar-o-baam se main
ab hawa ko nahin manzur darichon mein charagh

shab-e-ummid bhi dhalne ko hai aa ja 'sagar'
bujhne wale hain ye mahjur darichon mein charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close