is liye teri hui dasht-hansai bhai tu ne jaldi mein zara khak udai bhai aakhir-e-kar koi uzr use mil hi gaya ye mohabbat bhi kisi kaam na aai bhai main hun kone mein pada tuta hua kangan aur zindagi ek hasina ki kalai bhai tab mera sara badan kan mein tabdil hua jab kisi ne mujhe aawaz lagai bhai awwal awwal ye zamin thahri rahi ek jagah phir kisi aankh ne putli thi ghumai bhai