is mahina bhar kahan tha saqiya achchhi tarah aa idhar aa id to mil len zara achchhi tarah ungliyan kanon mein rakh kar ai musafir sun zara aa rahi hai saf aawaz-e-dara achchhi tarah chashm-e-musa la saki ek us ke jalwe ki na tab chashm-e-dil se jis ko dekha bar-ha achchhi tarah fasla aisa nahin kuchh arsh ki zanjir se kya kahun badhta nahin dast-e-dua achchhi tarah ahl-e-surat ko nahin hai achchhi sirat se gharaz achchhi surat chahiye achchhi ada achchhi tarah shahidan-e-lala-o-gul ki khabar lai hai kuchh sal bhar ke baad aai ai saba achchhi tarah sikh legi bal ki lena ta-kamar aane to do bal abhi karti nahin zulf-e-dota achchhi tarah shisha-o-jam-o-subu bhar le mai-e-gul-rang se aaj saqi ghir ke aai hai ghata achchhi tarah lete hain ahl-e-junun kya kya tasawwur ke maze aankh se pariyon ko dekha bar-ha achchhi tarah de rahi hai us ki khamoshi sada-e-dur-bash ye nahin kahta ki 'nazm'-e-mubtala achchhi tarah