khayalat rangin nahin bolte us ko jyun bas phulon ke rangon mein rahiye do-rangi sun jaana guzar dil sun awwal bazan ja ke wan ek rangon mein rahiye wo wahshat ke jangal mein ho kar pareshan pahadon se gham ke na ho sang hargiz sharar ho ke chhid sang tinke sun jaldi sakal ruh ho barq rangon mein rahiye nahin mauj-e-dariya ki dahshat use jo ki mara hai ghota ho ghawwas dil mein tah-e-bahr-e-wahdat mein ghawwas hone ko talim pane nahangon mein rahiye shahadat mile chaar tan sun tujhe gar kare qatl tu panch muziyan kun dil ke shahidon ki rah sath har waqt hamdam ho jyun sher sheran jangon mein rahiye falak charkh-e-kaj-rau sun dekhe agar khub nai-rangbazi zamane ki hikmat guzar ghair sohbat sun madhosh ho ja pahadon mein ja kar bhujangon mein rahiye samajh ai 'alim' aaj rah-e-haqiqat nipat sakht mushkil hai jaan sun guzarna patang ho ke jalne mein wasil rahen haq sun ho mard-e-wahid yakangon mein rahiye