is marg ko kab nahin main samjha

is marg ko kab nahin main samjha
har dam dam-e-wapsin main samjha

andaz tera bas ab na kar shor
ai nala-e-atishin main samjha

tab mujh ko ajal hui gawara
jab zahr ko angbin main samjha

ek khalq ki sarnawisht banchi
apna na khat-e-jabin main samjha

jun shana kabhu tah-e-pench tere
ai kakul-e-ambarin main samjha

kya faeda aah-e-dam-ba-dam se
hai dard-e-dil-e-hazin main samjha

phir is mein na shak ne rah pai
jis baat ko bil-yaqin main samjha

jab uth gai zid to har sukhan mein
samjha to kahin kahin main samjha

mu-e-kamar us ka kya hai ai aql
samjha tu mujhe nahin main samjha

likkhi ghazal is mein 'mushafi' jald
jis ko ki nai zamin main samjha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close