gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa burqe se gar nikla kahin chehra tera mahtab sa gul-e-barg ka ye rang hai marjaan ka aisa dhang hai dekho na jhumke hai pada wo hont lal-e-nab sa wo maya-e-jaan to kahin paida nahin jon kimiya main shauq ki ifraat se betab hun simab sa dil tab hi laya na tuk ta yaad rahta ham-nashin ab aish roz-e-wasl ka hai ji mein bhula khwab sa sannahate mein jaan ke hosh-o-hawas-o-dam na tha asbab sara le gaya aaya tha ek sailab sa hum sar-kashi se muddaton masjid se bach bach kar chale ab sajde hi mein guzre hai qad jo hua mehrab sa thi ishq ki wo ibtida jo mauj si utthi kabhu ab dida-e-tar ko jo tum dekho to hai girdab sa bahke jo hum mast aa gae sau bar masjid se utha waiz ko mare khauf ke kal lag gaya jullab sa rakh hath dil par 'mir' ke daryaft kar kya haal hai rahta hai aksar ye jawan kuchh in dinon betab sa