is naz is andaz se tum hae chalo ho roz ek ghazal hum se kahlwae chalo ho rakhna hai kahin panw to rakkho ho kahin panw chalna zara aaya hai to itrae chalo ho diwana-e-gul qaidi-e-zanjir hain aur tum kya that se gulshan ki hawa khae chalo ho mai mein koi khami hai na saghar mein koi khot pina nahin aae hai to chhalkae chalo ho hum kuchh nahin kahte hain koi kuchh nahin kahta tum kya ho tumhin sab se kahlwae chalo ho zulfon ki to fitrat hi hai lekin mere pyare zulfon se ziyaada tumhin bal khae chalo ho wo shokh sitamgar to sitam dhae chale hai tum ho ki 'kalim' apni ghazal gae chalo ho