is pari ne tumhein baalon mein sajaya phulo phulne walo rawa hai tumhein jitna phulo dur kyon jate ho aankhon se hasin chehro tum titliyan to hain tumhein dekh ke zinda phulo khak-e-ghurbat pe tamannaen nahin ug saktin dil hai viran to viran rahega phulo wapas auqat mein aana ho to dam ghutne lage ek khushi milne ka matlab tha ki itna phulo ab ke sajne lagin zulfon ke bajae qabren aisi rut mein na kisi shakh pe khilna phulo har koi dekh ke mali ko dua dene lage ai mere dosto aisa phalo aisa phulo sharm se surkh hue jate ho us ke aage main na kahta tha nazakat wo hai dekha phulo us sitamgar ke masalne se shanasa nahin tum mat kisi bhul mein rahna na mahakna phulo