bahut hai naz tujhe shahd ke hain nal tere hont karen jo kar saken sairab dil ka thal tere hont ruwan-ruwan hama-tan-gosh ho ke sunta hai sukhan-sukhan teri aankhen ghazal-ghazal tere hont ye kaenat ki talkhi ko thukne wale bala ka sabr kiye jaen gar hon phal tere hont sukut-e-dahr meri shah-rag katar jata agar na hilte meri jaan bar-mahal tere hont bahaar bhar di hai tujh mein 'zubair' kya us ne bahut gulab giraate hain aaj-kal tere hont