is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai tu bhi minjumala-e-asbab-e-pareshani hai mujh ko is shahar se kuchh dur thahar jaane do mere ham-rah meri be-sar-o-samani hai aankh jhuk jati hai jab band-e-qaba khulte hain tujh mein uthte hue khurshid ki uryani hai ek tera lamha-e-iqrar nahin mar sakta aur har lamha zamane ki tarah fani hai kucha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junun ishq walon ne abhi khak kahan chhani hai is tarah hosh ganwana bhi koi baat nahin aur yun hosh se rahne mein bhi nadani hai