inhin mein jite inhin bastiyon mein mar rahte ye chahte the magar kis ke nam par rahte payambaron se zaminen wafa nahin kartin hum aise kaun khuda the ki apne ghar rahte parinde jate na jate palat ke ghar apne par apne ham-shajaron se to ba-khabar rahte bas ek khak ka ehsan hai ki khair se hain wagarna surat-e-khashak dar-ba-dar rahte mere karim jo teri raza magar is bar baras guzar gae shakhon ko be-samar rahte