is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar mil ke tanha tu gale se kabhi lag jaya kar dekh kar hum ko na parde mein tu chhup jaya kar hum to apne hain miyan ghair se sharmaya kar ye buri khu hai dila tujh mein khuda ki saugand dekh us but ko tu hairan na rah jaya kar hath mera bhi jo pahuncha to main samjhunga khub ye angutha tu kisi aur ko dikhlaya kar gar tu aata nahin hai aalam-e-bedari mein khwab mein tu kabhi ai rahat-e-jaan aaya kar ai saba auron ki turbat pe gul-afshani chand jaanib-e-gor-e-ghariban bhi kabhi aaya kar hum bhi ai jaan-e-man itne to nahin nakara kabhi kuchh kaam tu hum ko bhi to farmaya kar tujh ko kha jaega ai 'mushafi' ye gham ek roz dil ke jaane ka tu itna bhi na gham khaya kar