guzar jaan se aur dar kuchh nahin rah-e-ishq mein phir khatar kuchh nahin hai ab kaam dil jis pe mauquf to wo nala ki jis mein asar kuchh nahin hua mail us sarw ka dil mera ba-juz jaur jis se samar kuchh nahin na kar apne mahwon ka hargiz suragh gae guzre bas ab khabar kuchh nahin teri ho chuki khushk mizhgan ki sab lahu ab jigar mein magar kuchh nahin haya se nahin pusht-e-pa par wo chashm mera haal madd-e-nazar kuchh nahin karun kyunke inkar ishq aah mein ye rona bhala kya hai gar kuchh nahin kamar us ki rashk rag-e-jaan hai 'mir' gharaz is se barik-tar kuchh nahin