is qadar hawadis hain rasta nahin milta zindagi ke misron ka qafiya nahin milta tere bin palat jaun ye bhi ab nahin mumkin aur aage badhne ka hausla nahin milta aap apni surat ko khud pe aashkara kar shahr ki fasilon par aaina nahin milta be-charagh raston par be-shumar jugnu the phir bhi ek bulbul ko ghonsla nahin milta log milte rahte hain aaj bhi tere jaise tujh sa par kahin koi ba-khuda nahin milta kaisa daur aaya hai hum siyah-bakhton ne sabr kar ke dekha hai kuchh sila nahin milta muntazir nigahon se aan baithe chaukhat par mere haq mein us dar se faisla nahin milta main to aise logon se dur hi bhale jaanan jin se meri sochon ka zawiya nahin milta hum si fakhtaon ka tum se jangjuon se aaj bhi to kal jaisa nazriya nahin milta munsifi ki qimat hi dastaras se bahar thi is liye faqiron ko faisla nahin milta roz be-murad iman hum to laut aate hain tum se baat karne ko takhliya nahin milta