is qadar hum na-tawan-o-zar hain bazu apne machhliyon ke khar hain chaak chaak apna gareban ho chuka in dinon dast-e-junun bekar hain rote hain ashkon ke badle khun gar abr hain hum lekin aatish-bar hain jate hain gulshan se le o baghban hum agar teri nazar mein khar hain aastin se pochhiye kahe ko ashk ab to munh par zakhm damn-dar hain dekh kar tujh ko magar hairan hue aaine jo pusht-bar-diwar hain le ud ai wahshat ki apni panw ke muntazir khar-e-sar-e-diwar hain aankhen hain khunkhar teri ai masih kya hai be-parhez ye bimar hain khud-bakhud apna janaza hai rawan hum ye kis ke kushta-e-raftar hain saya-e-khanjar mein aaya khwab-e-marg wah kya talea mere bedar hain hum hain ranjur apne ashk-o-ah se hai buri aab-o-hawa bimar hain ab to hai meinh ka barasna apne hath aastinen abr-e-dariya-bar hain sarw-o-shamsad-o-sanobar bagh mein naqsha-ha-e-qamat-e-dildar hain kaun hai bezar in rozon 'wazir' hum jo apne zist se bezar hain