jite ji bas wo but raha hamrah ab to bande ke hai khuda hamrah dil diya us ko par ye darta hun dushman ek dost ke kiya hamrah nahin yaran-e-raftagan ka nishan le gae kya ye naqsh-e-pa hamrah is mein kya aap ki hai ruswai rahe gar mujh sa parsa hamrah tujhe dekha jidhar nigah gai tha tasawwur zi-bas tera hamrah ranj-e-tanhai-e-lahad na raha yar ke gham ko le liya hamrah shab ko jate ho sath lo mashal kahiye to ho ye dil-jala hamrah hue baad apne bewafa ushshaq le gae yan se ham-wafa hamrah teri raftar ka main kushta hun qabr tak aaiyo zara hamrah ye dil-e-bad-guman na dekh sake agar us but ke ho khuda hamrah ta salamat tu aae ai qasid thahar itna karun dua hamrah us ne tanha mujhe na jaane diya gham-e-furqat ko kar diya hamrah na-tawan hai bahut ghubar mera tu zara rahiyo ai saba hamrah rahi yan gardish aur jama-dari kash late na dast-o-pa hamrah galiyan jaise din hain dil le kar jaega ye diya liya hamrah ja na tanha tu ai shah-e-khuban ho 'wazir'-e-barhana-pa hamrah