is qadar mahw hain kar-e-chaman-arai mein hum dil ki dhadkan bhi nahin sunte hain tanhai mein hum dhundte phirte hain ab apne talluq ka sabab dur tak bikhre hue rah-e-shanasai mein hum sham ki dhund mein karte hain tasawwur us ka aur phir sarf bhi hote hain pazirai mein hum dil ki tanhai se ghabra ke nikal aate hain warna rahte hain isi dasht ki pahnai mein hum sher ke moti utha lae hain tah se 'amir' dur tak utre the is bahr ki gahrai mein hum