kahan tak ye sitare dar-ba-dar phirte rahenge teri aankhon mein aakhir apni manzil dhund lenge purani is kahani par yaqin aae na aae magar hum samri ke sehr se kaise bachenge udasi is gali mein kitne din tak rah sakegi nae mausam purane qufl aakhir tod denge hawa-e-taza badlegi faza us bagh ki bhi nai rut mein nae paude yahan phule phalenge tere dar tak na pahunchenge bhadakte tez shoale to kya is aag mein hum hi sada jalte rahenge