is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain phulon ki tamanna thi magar khar mile hain anmol jo insan tha wo kaudi mein bika hai duniya ke kai aise bhi bazar mile hain jis ne bhi mujhe dekha hai patthar se nawaza wo kaun hain phulon ke jinhen haar mile hain malik ye diya aaj hawaon se bachana mausam hai ajab aandhi ke aasar mile hain duniya mein faqat ek zulekha hi nahin thi har yusuf-e-sani ke kharidar mile hain ab un ke na milne ki shikayat na gila hai hum jab bhi mile khud se to be-zar mile hain 'nasir' ye tamanna thi mohabbat se milenge wo jab bhi mile bar-sar-e-paikar mile hain