is safar ka chehra chehra aaina wala laga

is safar ka chehra chehra aaina wala laga
chal pada to mujh ko sara rasta dekha laga

in badalte manzaron mein hum to thahre be-waqar
aap hi kah den ye mausam aap ko kaisa laga

tutte rishton ke yug mein aisa bhi lamha mila
apna ghar to apna ghar tha sara ghar apna laga

ab ke jab pardes se laute to apne des mein
nim ka bhi zaiqa hum ko bahut achchha laga

kucha-e-aswad ke bashinde hain hum apna wajud
man ke aanchal mein lage paiwand ka bakhiya laga

dubte suraj ko dekho zindagi apni lage
subh ka nikla musafir sham ko ghar ja laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close