din raat kis ki yaad thi kaisa malal tha sadqe mein kuchh to bol tu kya tujh pe haal tha chhuta tera mariz agar mar gaya ki shokh jo dam tha zindagi ka so us par wabaal tha nakhun tere ki mehndi se tanha nahin hain dagh chande shafaq se nal-dar-atish hilal tha is soch se khuli hai haqiqat ki ek umr makkhi ki farj o shaikh ki dadhi ka baal tha ko chashm-e-fahm taki nazar aae ye ki yan dekha jo kuchh so khwab jo samjha khayal tha jhagda mera kiya hi na tin saf warna shokh zarra zaban pe tegh ki ye infisal tha 'qaem' main rekhta ko diya khilat-e-qubul warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha