is sarasimgi mein baat karen to kaise shahsawaron se musawat karen to kaise khauf se khushk hue jate hain lab-e-lalin log izhaar-e-khayalat karen to kaise phir rahe tair-e-majnun hain ku-ba-ku dar dar ishq-e-sadiq ka wo isbaat karen to kaise bad nahin garche wo badnam magar hain har su aisi surat mein mulaqat karen to kaise har ghadi sochte rahte hain tahi-dast ki hum misl-e-hatim-tai khairaat karen to kaise aap hi apna bad-andesh-o-muddai ban kar apni hasti ko past-o-mat karen to kaise khair-andesh hain mana ki shanawar lekin mauj-e-hasti se do do hath karen to kaise khurd bachchon ki tamanna hai ye 'abrar' ki bas band mutthi mein ye din raat karen to kaise