kohra odhe tahal rahi thi jhil pe gahri khamoshi phir suraj ne dhup bichai tab kuchh thahri khamoshi shab ki sadi pahan ke sine par bal khati hai mere din ka aanchal odh ke sharmati hai sunahri khamoshi ganw ki us khamoshi mein ek lazzat thi albeli si kamra kamra ghont rahi hai har pal shahri khamoshi gum ho gain hain meri sadaen kho gain hain sab aawazen chikhen tak bhi sunti nahin hai hae ye bhari khamoshi yaaden gawah hain jazbe qaidi hijr hai munsif waqt wakil roz lagati hai is dil mein ishq kachhari khamoshi man mandir mein dhyan magan hai ek tera sachcha sadhu aur sadhu ke phere leti jogan gahri khamoshi subh ke manzar jhulas gae hain sham ki jhilen sadiyon dur hijr ki dhun par raqs-kunan hai garm do-pahri khamoshi