is se aage to bas la-makan rah gaya ye safar bhi mera raegan rah gaya ho gae apne jismon se bhi be-niyaz aur phir bhi koi darmiyan rah gaya rakh poron se jhadti gai umr ki sans ki naliyon mein dhuan rah gaya ab to rasta batane pe mamur hun be-hadaf tir tha be-kaman rah gaya jab palat hi chale ho ai dida-waro mujh ko bhi dekhna main kahan rah gaya mit gaya hun kisi aur ki qabr mein mera katba kahin be-nishan rah gaya