jast bharta hua farda ke dahane ki taraf ja nikalta hun kisi aur zamane ki taraf aankh bedar hui kaisi ye peshani par kaisa darwaza khula aaina-khane ki taraf khud hi anjam nikal aaega is waqiye se ek kirdar rawana hai fasane ki taraf hal nikalta hai yahi rishton ki mismari ka log aa jate hain diwar uthane ki taraf darmiyan tez hawa bhi hai zamana bhi hai tir to chhod diya main ne nishane ki taraf ek bichhdi hui aawaz bulati hai mujhe waqt ke par se gum-gashta thikane ki taraf