is se pahle ki gham-e-kaun-o-makan ko samjho ho sake gar to mere gham ki zaban ko samjho lafz-o-mani se alag hai mere ehsas ka rang ho sake tum se to andaz-e-bayan ko samjho husn hai wahm-e-mohabbat bhi guman hai lekin dil ye kahta hai ki har wahm-o-guman ko samjho tum samajhte hi nahin rang-e-shikasta ki zaban kaun kahta hai ki tum meri fughan ko samjho hai gham-e-sud-o-ziyan fikr-o-nazar ki pasti aagahi ye hai ki aashob-e-jahan ko samjho