jitne naghme the wajh-e-khalish ban gae jitne nale the sarf-e-hawa ho gae hum wahi hain jo kal the magar kya hua hum wahin hain magar kya se kya ho gae jin ke daman tahi aur khali the dil jin ki jurat thi kam aur jaan muzmahil aastanon pe sajde wo karte rahe rafta rafta hamare khuda ho gae is zamane ke jo mir-o-sultan the nau-e-adam mein yani jo insan the dil se pai unhonne wo nashw-o-numa tere kuche ke aakhir gada ho gae shor sinon mein uth uth ke dabte rahe dil-jigar dur gurdon mein khapte rahe hath kitne the yan jo qalam ho gae saz kya kya the jo be-sada ho gae yar duniya ke sanche mein dhalte rahe shama fanus the hum pighalte rahe apni tanha-rawi apna soz-e-darun hum bhi duniya mein ek majra ho gae ab na khatra hai dil mein na koi khalish ek baqi raha hai to rang-e-tapish dil subuk aur sada hai is taur se qarz jitne the goya ada ho gae gham sanwarte rahe hum sambhalte rahe shauq manzil ke shewe badalte rahe the jo nazdik hum se wo ab dur hain the jo na-ashna aashna ho gae