is se pahle ki hawa mujh ko uda le jae apni zulfon mein koi aa ke saja le jae jis ko is ahd mein jine ka hunar aata ho us se kah do ki meri umr laga le jae chandni khidki se kamre mein utar aati hai koi taswir na album se chura le jae hausla dew se ladne ka kisi mein bhi nahin chahte sab hain pari aa ke jaga le jae apni khatir na sahi kuchh to bacha kar rakkho lutne koi agar aae to kya le jae ibn-e-adam na kaho us ko farishta samjho khud ko jo dana-e-gandum se bacha le jae