dhab dekhe to hum ne jaana dil mein dhun bhi samai hai 'mira-ji' dana to nahin hai aashiq hai saudai hai subh-sawere kaun si surat phulwari mein aai hai dali dali jhum uthi hai kali kali lahrai hai jaani-pahchani surat ko ab to aankhen tarsengi nae shahr mein jiwan-dewi naya rup bhar lai hai ek khilauna tut gaya to aur kai mil jaenge baalak ye anhoni tujh ko kis bairi ne sujhai hai dhyan ki dhun hai amar git pahchan liya to bolega jis ne rah se bhatkaya tha wahi rah par lai hai baithe hain phulwari mein dekhen kab kaliyan khilti hain bhanwar bhaw to nahin hai kis ne itni rah dikhai hai jab dil ghabra jata hai to aap hi aap bahalta hai prem ki rit ise jaano par honi ki chaturai hai ummiden arman sabhi jul de jaenge jaante the jaan jaan ke dhoke khae jaan ke baat badhai hai apna rang bhala lagta hai kaliyan chatkin phul banin phul phul ye jhum ke bola kaliyo tum ko badhai hai aabshaar ke rang to dekhe lagan mandal kyun yaad nahin kis ka byah racha hai dekho dholak hai shahnai hai aise dole man ka bajra jaise nain-bich ho kajra dil ke andar dhum machi hai jag mein udasi chhai hai lahron se lahren milti hain sagar umda aata hai manjdhaar mein basne wale ne sahil par jot jagai hai aakhiri baat sunae koi aakhiri baat sunin kyun hum ne is duniya mein sab se pahle aakhiri baat sunai hai