is se pahle ki kisi ghat utare jate hum hi betab the hum muft mein mare jate had idrak se aage thi tere qurb ki sham dhundne tujh ko kahan chand-sitare jate tu ne khud apni mohabbat ka bharam khol diya warna hum pas-e-murawwat mein hi mare jate tujh se mansub hue hain to ye hasrat hi rahi hum kabhi apne hawale se pukare jate sakht pahra tha tere hashiya-bardaron ka hum wahan kis ki sifarish ke sahaare jate tu ne khud halqa-e-amwaj se munh mod liya dur tak warna tere sath kinare jate mishalen gham ki farozan thin har ek ghar mein 'salim' kis ki dahliz pe hum dard ke mare jate