jate jate wo mujhe apni nishani de gaya zindagi-bhar ke liye aankhon mein pani de gaya sunte sunte dastan so jaenge sab chaaragar khatm jo hogi nahin aisi kahani de gaya sar mere sine pe us ne jab rakha hai zindagi is tarah dariya-e-dil ko wo rawani de gaya baat bhi itni ki bas us ne kiya mujh ko salam han magar logon ke dil mein bad-gumani de gaya thi ghazal meri bahut be-rabt be-kaif-o-asar wo mere ashaar ko alfaz-o-mani de gaya bazm mein be-parda aaya muskura kar samne na-tawan dil ko mere phir se jawani de gaya le gaya hamrah apne wo makan aur baam-o-dar hai nazar sab kuchh magar ek be-makani de gaya