is se pahle ki mizaj apna samundar badle sust raftar safinon ne bhi tewar badle ban gai tegh-e-rawan mauj-e-hawa-e-hijran sham aai to teri yaad ne paikar badle mausam-e-taza ki aahat hai mere kanon mein barg shakhon ne parindon ne nae par badle meri mitti mein hai jazb us ke badan ki khushbu nind ka lutf hi ud jae jo bistar badle sadaf-e-dil mein jo gauhar tha wahi hai ab bhi yun to dariyaon ne har roz shanawar badle aaj bhi aks wahi hai jo bahut pahle tha aaina-khane mein aaine to aksar badle nae alfaz-o-maani ki talab hai 'sahil' ghair-mumkin hai mizaj apna sukhanwar badle