hai phul ki us ka naqsh-e-pa hai aaina sa rah mein pada hai kya khubi-e-khanjar-e-ada hai har zakhm takallum-ashna hai us hath pe surkhi-e-hina hai ya dil se lahu tapak raha hai hai sail-e-rawan ghamon ka phir bhi jine ka mujh mein hausla hai barish hi use hayat degi quqnus to abhi jala hua hai qasid ka yaqin nahin hai mujh ko khat tera kyon khula hua hai eajaz hai mere aablon ka sahra-e-junun hara-bhara hai girdab mein hai safina mera 'sahil' khamosh tak raha hai