is se pahle ki mujhe waqt alahida rakh de mere honton pe mere nam ka bosa rakh de halq se ab to utarta nahin ashkon ka namak ab kisi aur ki gardan pe ye duniya rakh de raushni apni shabahat hi bhula de na kahin apne suraj ke sirhane mera saya rakh de tu kahan le ke phiregi meri taqdir ka bojh meri palkon pe shab-e-hijr ye tara rakh de mujh se le le mere qiston pe kharide hue din mere lamhe mein mera sara zamana rakh de hum jo chalte hain to khud banta chala jata hai lakh mitti mein chhupa kar koi rasta rakh de hum ko aazadi mili bhi to kuchh aise 'nasik' jaise kamre se koi sehn mein pinjra rakh de