yas ki badli yun dil par chha gai zindagi se zindagi ukta gai ranj-o-gham to pahle hi kuchh kam na the yaad teri kyun hamein tadpa gai aap ne to jhuta wada kar diya jaan mutthi mein hamari aa gai zindagi ye dekh kar us ke sitam maut bhi insan se ghabra gai dekh kar is daur ki ayyariyan kanp utha dil nazar tharra gai sar uthaya jab tassub ne 'shafaq' aadamiyat ki tabahi aa gai