is se phulon wale bhi aajiz aa gae hain teri khatir jo guldasta dhund raha hai dil ko dhakke khate nikale jate dekh ke sahil apna pakka dariya dhund raha hai tasma khula jaise aazad talazma ho wah ek pahan ke dusra juta dhund raha hai us ke flat se bahar koi dur ka dost pas ke bus stop ka rasta dhund raha hai bas kar de ab, kab se matla dhund raha hai kya koi tisra chautha misra dhund raha hai ma kiye bint-e-mochi ko chautha sal hai tab se wo job aur karmu rishta dhund raha hai har masnui pankha jhuta make-up kar ke zat ki shahr-panah mein rakhna dhund raha hai lamp jalate aur bujha ke phir se jalate ya wo mujhe gum karta hai ya dhund raha hai party thap mehman-e-khususi shair-e-azam patli gali mein pan ka khokha dhund raha hai yaro baithe nahren khodo baaten chhodo main use dhund lun mujhe jo tanha dhund raha hai ek ladki apne liye ladki dhund rahi hai ek ladka apne liye ladka dhund raha hai mobile par app lagao kaam chalao kaun purane shahar ka naqsha dhund raha hai roze rakhwao khulwao jannat pao banda to do waqt ka khana dhund raha hai meri iklauti t-shirt pe qabza jamae achchha roommate apna kachchha dhund raha hai khil-khila ke load-shedding se faiz utha ke yusuf-jaani tujhe ye andha dhund raha hai gadle pani se dhulte station par kis ko garma-garm si chae ka piyala dhund raha hai sine par do qabron kai tawiz bandhe hain bach kar, dhup! mujhe ek saya dhund raha hai u-e-t mein chhuttiyan hone wali hain dost kaun sa hostel kis ka kamra dhund raha hai