talash-e-rah mein rahi kahan kahan na gaya talab jahan ki use thi kabhi wahan na gaya yahan se aage kahin phir ye karwan na gaya ki mere ghar se to bahar kabhi dhuan na gaya ulajhti rah gain maujon se kashtiyan apni hawa thi tez magar zor-e-baadban na gaya use andheron ki pahchan kya hui logo charagh jis ka hawaon ke darmiyan na gaya har ek khitta-e-maqtal mein the khile ghunche mere lahu ka koi qatra raegan na gaya