is shahr-e-sang-dil ko jala dena chahiye phir us ki khak ko bhi uda dena chahiye milti nahin panah hamein jis zamin par ek hashr us zamin pe utha dena chahiye had se guzar gai hai yahan rasm-e-qaheri is dahr ko ab is ki saza dena chahiye ek tez rad jaisi sada har makan mein logon ko un ke ghar mein dara dena chahiye gum ho chale ho tum to bahut khud mein ai 'munir' duniya ko kuchh to apna pata dena chahiye