wo dilawar jo siyah shab ke shikari nikle wo bhi chadhte hue suraj ke pujari nikle sab ke honton pe mere baad hain baaten meri mere dushman mere lafzon ke bhikari nikle ek janaza utha maqtal mein ajab shan ke sath jaise saj kar kisi fateh ki sawari nikle hum ko har daur ki gardish ne salami di hai hum wo patthar hain jo har daur mein bhaari nikle aks koi ho khad-o-khal tumhaare dekhun bazm koi ho magar baat tumhaari nikle apne dushman se main be-wajh khafa tha 'mohsin' mere qatil to mere apne hawari nikle