is shola-khu ki tarah bigadta nahin koi tezi se itni aag pakadta nahin koi wo chehra to chaman hai magar saneha ye hai us shakh-e-lab se phul hi jhadta nahin koi khud ko badha-chadha ke batate hain yar log haalanki is se farq to padta nahin koi logon ka kya hai aaj mile kal bichhad gae gham do ghadi bhi mujh se bichhadta nahin koi majburi-e-hayat hai warna zamin par khush ho ke ediyan to ragadta nahin koi jis tarah yaad chhod gaya mere dil mein tu is umdagi se lal bhi judta nahin koi kahte hain log dekh ke is haal mein mujhe apne khilaf jang to ladta nahin koi 'ruhi' tujhe bhi lag rahi hai zamane se be-wajh to kisi se bigadta nahin koi