khud ki khatir na zamane ke liye zinda hun qarz mitti ka chukane ke liye zinda hun kis ko fursat jo meri baat sune zakhm gine khak hun khak udane ke liye zinda hun log jine ke gharaz-mand bahut hain lekin main masiha ko bachane ke liye zinda hun ruh aawara na bhatke ye kisi ki khatir sare rishton ko bhulane ke liye zinda hun khwab tute hue ruthe hue lamhe wo 'qamar' bojh kitne hi uthane ke liye zinda hun