is siyasat mein miyan aabaad ho jaane ke baad mar gae kirdar zindabaad ho jaane ke baad hum se achchha kaun shair tha yahan lekin janab fikr-o-fan jata raha ustad ho jaane ke baad wada karte the wafa jab tak pareshan-haal the jaane kyun nazren badal lin shad ho jaane ke baad na-gawari hai tujhe man bap ke andaz se sab samajh aa jaega aulad ho jaane ke baad ishq tum se ho gaya to qabr apni khod li aur hum karte bhi kya farhad ho jaane ke baad kya hamare khwab the daur-e-ghulami mein 'bilal' kis taraf hum chal diye aazad ho jaane ke baad