is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai ab bhi kuchh log hain zinda ki jahan baqi hai ahl-e-sahra bhi badhe aate hain shahron ki taraf sans lene ko jahan sirf dhuan baqi hai zindagi umr ke us mod pe pahunchi hai jahan sud napaid hai ehsas-e-ziyan baqi hai dhundhti rahti hai har lamha nigah-e-dahshat aur kis shahr-e-mohabbat mein aman baqi hai main kabhi sud ka qail bhi nahin tha lekin zindagi aur bata kitna ziyan baqi hai mar kar bhi mere qatil ko tasalli na hui main hua khatm to kyun nam-o-nishan baqi hai aisi khushiyan to kitabon mein milengi shayad khatm ab ghar ka tasawwur hai makan baqi hai lakh 'azar' rahen tajdid-e-ghazal se lipte aaj bhi 'mir' ka andaz-e-bayan baqi hai