dil ke rahne ke liye shahr-e-khayalat nahin sar-ba-sar hai nafi is mein kahin isbaat nahin ranj gar wan se to rahat bhi wahin se aawe kaun kahta hai yahan wahdat-e-ayat nahin mujh se kahte hain hawaej se sarokar na rakh meri tarif ba-juz qissa-e-hajat nahin koi batlao shab-o-roz pe kya guzri hai raat khamosh nahin din mein koi baat nahin thi falatun ki jo jamhur se ru-gardani hum samajhte the khurafat khurafat nahin dil se guzre kabhi dushman ke liye fikr-e-zarar wo watira nahin mera mere jazbaat nahin ahd-e-be-mehr mein ek chaal mohabbat bhi chale shah mein bazi hai meri garche abhi mat nahin sahiba dekhna had se na badhe yurish-e-gham na-tawan dil hai mera khema-e-sadat nahin