is taraf aag ka dariya hai udhar khai hai hum ne bhi par utarne ki qasam khai hai apne kamre se nikal kar zara dekho to sahi dhup diwar se aangan mein utar aai hai jin charaghon ka tere nam se rishta hi nahin un charaghon ki zamane mein pazirai hai raat ki shakh se latke hain sitaron ke charagh ghar ki dahliz pe baithi hui tanhai hai aisa mausam hai ki be-barg-o-samar hain ashjar kyon hawa shor machane ko chali aai hai dhup ke shahr mein baadal ko tarasne walo aaj barish nahin hogi ye khabar aai hai jis pe diwar ke us par ka manzar na khule aisi binai bhi kis kaam ki binai hai apne andar ka ye aalam bhi ajab aalam hai bhid ki bhid hai tanhai ki tanhai hai mujh pe ilzam hai aahista-khirami ka 'matin' tez chalta hun to ahbab ki ruswai hai