is tarah dekhta hun udhar wo jidhar na ho jaise dikhai de koi surat magar na ho ye shahr-e-na-shanas hai kya is ka e'tibar achchha rahega wo jo yahan mo'atabar na ho is tarah chal raha hai raunat ke sath wo jaise khiram-e-naz se aage safar na ho main aaj hun so mujh ko samaat bhi chahiye mumkin hai ye sukhan kabhi bar-e-digar na ho hone do aaj shakh-e-tamanna ko barwar mumkin hai kal nafas ka yahan se guzar na ho main bhi dikhaun shauq ki jaulaniyan tujhe ye musht-e-khak rah mein hail agar na ho nam-o-numud se mujhe aise gurez hai jaise ye kar-e-khair ho kar-e-hunar na ho apna pata bhi dhundne jaana hai ek din filhaal chahta hun ki tu dar-ba-dar na ho ek ye fareb dekhna baqi hai waqt ka dil dub jae aur dobara sahar na ho ye kya ki ham-rikab rahe khak-e-rahguzar kis kaam ka junun jo qadam dasht-bhar na ho